bas-ki dushwar hai us shaKHs ka chehra likhna
warna mushkil to nahin koi sarapa likhna
ye bhi mumkin hai ki tahrir badal di jae
dosto apna bayan KHun se puKHta likhna
kuchh hamein sair-o-tamasha se nahin dilchaspi
shaghl bas apna hai tanhai mein paDhna likhna
dil ka darwaza tumhaare liye wa rakkhenge
lauT aane ka kabhi ho jo irada likhna
bhej to sakte ho tum likh ke shikayat un ko
shart bas ye hai ki koi lafz na chubhta likhna
log asnad ke kashkol liye phirte hain
kitna be-sud hai is daur mein paDhna likhna
kaise diwane hain likhte hue thakte hi nahin
ek hi lafz ko sidha kabhi ulTa likhna
pas-e-tahzib to kuchh pas-e-qalam hai hum ko
warna aata hai hamein jaise ko taisa likhna
log jab likh ke siyah kar gae diwaren tak
kaun paDhta hai bhala ret pe mera likhna
sar mein sauda tha ajab likh gaya us ko kya kuchh
dil ne samjhaya bahut tha ki na aisa likhna
yaad kya rakhta ki wo zud-faramosh bhi tha
main bhi kuchh bhul gaya us ko taqaza likhna
likhte hi jaenge hum un ko arize 'mohsin'
wo paDhen ya na paDhen kaam hai apna likhna
Ghazal
Bas-ki dushwar hai us shaKHs ka chehra likhna
Mohsin Zaidi