bas ki chun badr-zamana ye ghaTata hai mujhe
din-ba-din aur hi aalam nazar aata hai mujhe
husn nairangi-e-alam ka ajab rang se kuchh
ain nairangi mein sau rang dikhata hai mujhe
itna malum to hota hai ki jata hun kahin
koi hai mujh mein ki mujh se liye jata hai mujhe
yaad main kis ki karun mujh ko kahan hosh-o-hawas
apni hi yaad se ye ishq bhulata hai mujhe
turfa aalam hai ki har ek se wo maya-naz
aap rahta hai alag aur bhiData hai mujhe
chhoD kar mujh ko wo tanha koi jata hai kahin
ye bhi ek chheD hai us ko ki kuDhata hai mujhe
mujh ko kyun khinche liye jae hai taqsir meri
umr Tuk rah to sahi kaun bulata hai mujhe
mujh mein aur dil mein sada hai sabaq-e-ishq ka dars
main sunata hun use aur wo sunata hai mujhe
mere naKHunon mein main tujh se kiye chaar abru
apni kya tegh se har dam tu Daraata hai mujhe
tair-e-rang-e-hina hun to lagun tere hath
chuTkiyon mein tu abas yar uData hai mujhe
tujh ko manzur jafa mujh ko hai matlub wafa
na ye bhata hai tujhe aur na wo bhata hai mujhe
jo meri chiDh hai usi baat ka hai tujh ko zauq
aah tu dida-o-danista khujata hai mujhe
phir phir aaine mein munh dekhne lagta hai 'hasan'
ek dam aap mein wo shoKH jo pata hai mujhe
Ghazal
Bas ki chun badr-zamana ye ghaTata hai mujhe
Meer Hasan