bas ek tasalsul-e-takrar-e-qurb-o-duri tha
visal o hijr ka har marhala uburi tha
meri shikast bhi thi meri zat se mansub
ki meri fikr ka har faisla shuuri tha
thi jiti jagti duniya meri mohabbat ki
na KHwab ka sa wo aalam ki la-shuuri tha
talluqat mein aisa bhi ek moD aaya
ki qurbaton pe bhi dil ko guman-e-duri tha
riwayaton se kinara-kashi bhi lazim thi
aur ehtiram-e-riwayat bhi zaruri tha
mashini daur ke aazar se hua sabit
ki aadmi ka malal aadmi se duri tha
khula hai kab koi jauhar hijab mein 'akbar'
guhar ke bab mein tark-e-sadaf zaruri tha
Ghazal
Bas ek tasalsul-e-takrar-e-qurb-o-duri tha
Akbar Hyderabadi