bas ek jahan-e-tahayyur se aane wala hai
wo ajnabi mujhe apna banane wala hai
gulab sang ki surat dikhane wala hai
kahan kahan wo mujhe aazmane wala hai
koi to dekhne wala hai meri aankhon se
koi to hai jo tamasha dikhane wala hai
ye chand aur sitare to ek bahana hain
kuchh aur hai jo yahan jagmagane wala hai
har ek jism yahan ruh ki alamat hai
ye regzar bhi naghma sunane wala hai
bas ek sawal ki taKHliq hai bashar jaise
kahan se aaya hai kis or jaane wala hai
use KHabar hai kahan raushni ka maKHaz hai
wo tirgi mein dilon ko jalane wala hai
amir us ki amanat uTha nahin sakta
faqir asal mein us ka KHazane wala hai
wo ek pyas ka lamha jo mere andar hai
kabhi kabhi to samundar luTane wala hai
wo KHaksar ko deta hai phul hisse mein
wo sang-zar mein dariya bahane wala hai
bahut aziz hai zer-o-zabar ka khel use
bujha bujha ke tamanna jagane wala hai
wo ek gauhar-e-yakta hai mere sagar mein
wo ek ashk ki aankhon mein aane wala hai
samar ko bandh ke rakhta hai wo daraKHton par
jo pak gaya use niche girane wala hai
wo apne aap hi ghar lauT aaega 'ahmad'
kisi ko kaun hamesha bulane wala hai
Ghazal
Bas ek jahan-e-tahayyur se aane wala hai
Ahmad Shanas