bas hum hain shab aur karahna hai
ye aur tarah ka chahna hai
hai wada-e-wasl aaj mujh ko
asbab-e-tarab basahna hai
hain nawak-e-ghamza garche kari
mera hi jigar sarahna hai
duniya hai sara-e-fani is mein
jo aaya hai yan so pahna hai
chitwan mein kahe hai yun wo maghrur
tujh se mujhe kya nibahna hai
ai 'mushafi' dil raha hai pichhe
us ko bhi zara nibahna hai
Ghazal
Bas hum hain shab aur karahna hai
Mushafi Ghulam Hamdani

