bas ek tere KHwab se inkar nahin hai
dil warna kisi shai ka talabgar nahin hai
aankhon mein hasin KHwab to hain aaj bhi lekin
tabir se ab koi sarokar nahin hai
dariya se abhi tak hai wahi rabt hamara
kashti mein hamari koi patwar nahin hai
hairat se nae shahr ko main dekh raha hun
diwar to hai saya-e-diwar nahin hai
is bazm ki raunaq to zara ghaur se dekho
lagta hai yahan koi dil-azar nahin hai
aae ho numaish mein zara dhyan bhi rakhna
har shai jo chamakti hai chamakdar nahin hai
kyun itna hamein apni mohabbat pe yaqin hai
duniya to mohabbat ki parastar nahin hai
Ghazal
Bas ek tere KHwab se inkar nahin hai
Alam Khursheed