اردو हिंदी
Bas ek bund thi auraq-e-jaan mein phail gai | Shaahi Shayari
bas ek bund thi auraq-e-jaan mein phail gai

Ghazal

Bas ek bund thi auraq-e-jaan mein phail gai

Siddique Mujibi

;

bas ek bund thi auraq-e-jaan mein phail gai
zara si baat meri dastan mein phail gai

hawa ne hath baDhaya hi tha ki lau meri
tamam shash-jihat-e-jism o jaan mein phail gai

wo KHwab tha ki khula tha daricha-e-shab-e-hijr
tere visal ki KHushbu makan mein phail gai

jo us ke baad hawa us se be-KHabar the sab
hawa ne kuchh na kaha baadban mein phail gai

khula ki wahm tha aab o sarab ki tamiz
pyasi dhup thi aab-e-rawan mein phail gai

main us ke tarz-e-taKHatub ka zahr pi to gaya
magar ajib si talKHi zaban mein phail gai

ziyan-nasib shiar-e-wafa sirisht mein hai
ye baat kaise saf-e-dushmanan mein phail gai