bas ek baat ki us ko KHabar zaruri hai
ki wo hamare liye kis qadar zaruri hai
dilon mein dard ki daulat bacha bacha ke rakho
ye wo mataa hai jo umr bhar zaruri hai
nahin zarur ki maqdur ho to sath rakhen
kabhi-kabhaar magar nauhagar zaruri hai
kabhi to khel parinde bhi haar jate hain
hawa kahin ki bhi ho mustaqar zaruri hai
ye kya zarur ki mast apne aap hi mein rahen
idhar udhar ki bhi kuchh kuchh KHabar zaruri hai
mafar nahin gham-e-duniya se 'aftab-husain'
bahut kaThin hai ye manzil magar zaruri hai
Ghazal
Bas ek baat ki usko KHabar zaruri hai
Aftab Hussain