bas ek bar use raushni mein dekha tha
phir is ke baad andhera bahut andhera tha
wo haal ka nahin mazi ka koi qissa tha
jab apne-ap mein main TuT kar bikharta tha
na manzilon ki talab mein lahu lahu the badan
na raston ke liye koi aah bharta tha
wo mujh ko saunp gaya manzilon ki mahrumi
jo har qadam pe mere sath sath chalta tha
na dasht o dar se alag tha na jangalon se juda
wo apne shahr mein rahta tha phir bhi tanha tha
Ghazal
Bas ek bar use raushni mein dekha tha
Aslam Azad