bas ek bar kisi ne gale lagaya tha
phir us ke baad na main tha na mera saya tha
gali mein log bhi the mere us ke dushman log
wo sab pe hansta hua mere dil mein aaya tha
us ek dasht mein sau shahr ho gae aabaad
jahan kisi ne kabhi karwan luTaya tha
wo mujh se apna pata puchhne ko aa nikle
ki jin se main ne KHud apna suragh paya tha
mere wajud se gulzar ho ke nikli hai
wo aag jis ne tera pairahan jalaya tha
mujhi ko tana-e-ghaarat-gari na de pyare
ye naqsh main ne tere hath se miTaya tha
usi ne rup badal kar jaga diya aaKHir
jo zahr mujh pe kabhi nind ban ke chhaya tha
'zafar' ki KHak mein hai kis ki hasrat-e-tamir
KHayal-o-KHwab mein kis ne ye ghar banaya tha
Ghazal
Bas ek bar kisi ne gale lagaya tha
Zafar Iqbal