اردو हिंदी
Bas ek bar faqat ek bar kam se kam | Shaahi Shayari
bas ek bar faqat ek bar kam se kam

Ghazal

Bas ek bar faqat ek bar kam se kam

Shamim Abbas

;

bas ek bar faqat ek bar kam se kam
siwa mera ho tera iKHtiyar kam se kam

har ek rang tujhe Dhanp dunga sar-ta-pa
teri har ek ka badla hazar kam se kam

na sath sath sahi itni dur bhi to na ja
ujaD mat mere qurb-o-jawar kam se kam

hai ittifaq ki insan nikle donon hi
huzur-e-wala bahut KHaksar kam se kam

yun apni sakh bachai kiya use uryan
ki apna shewa nahin tu-takar kam se kam

sabhi hain ram bharose KHuda ki basti mein
koi to KHud pe kare inhisar kam se kam

shikast par koi nauha na fath par nara
na zindagi se ho utna farar kam se kam