bas ek apne hi qadmon ki chap sunta hun
main kaun hun ki bhare shahr mein bhi tanha hun
jahan main jism tha tu ne wahan to sath diya
wahan bhi aa ki jahan main tamam saya hun
wo ek moD bhi is rah pe aaega ki jahan
mila ke hath tu bolega main to chalta hun
teri judai ka gham hai na tere milne ka
main apni aag mein din raat jalta rahta hun
gae wo roz ki tu bais-e-qarar thi jab
teri jhalak se bhi ab to udas hota hun
mere baghair hai mumkin kahan teri takmil
mujhe pukar ki main hi tera kinara hun
kabhi to Dub sahi sham ke samundar mein
ki main sada hi jawahar nikal laya hun
Ghazal
Bas ek apne hi qadmon ki chap sunta hun
Mahmood Shaam