bas aur kya kahun is silsila mein tauba hai
mujhe jo pahuncha hai dukh doston se pahuncha hai
mere wajud se hairat mein hai mufassir-e-aql
wo raaz hun jo na mastur hai na ifsha hai
mujhe hayat se hai is liye bhi dilchaspi
ye ek din ka nahin umr-bhar ka sauda hai
wo tere lutf-e-tabassum ki naghmagi ai dost
ki jaise qaus-e-quzah par sitar bajta hai
ye zindagani ibarat KHalish se hai yani
KHalish jo hai to chaman hai nahin to sahra hai
hain teri ishwa-gari ke ye muKHtalif pahlu
kalisa kya hai haram kya hai but-kada kya hai
'nazir' qissa-e-zaKHm-e-nihan kahun kis se
ye dastan-e-alam saKHt ruh-farsa hai
Ghazal
Bas aur kya kahun is silsila mein tauba hai
Nazeer Muzaffarpuri