bas apni KHak par ab KHud hi sultani karenge hum
isi miTTi pe rangon ki farawani karenge hum
use rone do mat roko ki rona bhi zaruri hai
kabhi is aatish-e-sayyal ko pani karenge hum
tumhaare KHwab lauTane pe sharminda to hain lekin
kahan tak itne KHwabon ki nigahbani karenge hum
mohabbat mein ye sharten to tijarat banti jati hain
teri KHatir kahan tak kar-e-la-sani karenge hum
bahut be-zar kar rakkha hai hum ko kar-e-duniya ne
kisi ke dil mein ab kuchh roz mehmani karenge hum
ye rishta dosti ka lutf se KHali hai so is ko
kisi tadbir se ab dushman-e-jaani karenge hum
Ghazal
Bas apni KHak par ab KHud hi sultani karenge hum
Shoaib Nizam