اردو हिंदी
Bartar samaj se koi fankar bhi nahin | Shaahi Shayari
bartar samaj se koi fankar bhi nahin

Ghazal

Bartar samaj se koi fankar bhi nahin

Shabab Lalit

;

bartar samaj se koi fankar bhi nahin
fankar kya jo sahab-e-kirdar bhi nahin

har chand jaan-balab hain sitam se sharif log
laDne ko zulm se koi tayyar bhi nahin

nasl-e-jawan sawar hai KHwabon ki naw mein
us par sitam ki hath mein patwar bhi nahin

khoTa Taka hun phir bhi kabhi kaam aaunga
mujh ko na phenk itna main be-kar bhi nahin

urdu zaban ki main wo kohna kitab hun
jis ka watan mein koi KHaridar bhi nahin

hum ai 'shabab' aise muqaddar ka kya karen
KHwabida jo nahin hai to bedar bhi nahin