اردو हिंदी
Barson tapish-e-gham mein ye ehsas jale hai | Shaahi Shayari
barson tapish-e-gham mein ye ehsas jale hai

Ghazal

Barson tapish-e-gham mein ye ehsas jale hai

Ishrat Kiratpuri

;

barson tapish-e-gham mein ye ehsas jale hai
tab ja ke kahin sher ke sanche mein Dhale hai

kuchh aise teri bazm mein baiTha hun akela
jis tarah sar-e-rah koi shama jale hai

allah kisi shaKHs ko ruswa na kare yun
mujh se mera saya bhi to ab bach ke chale hai

is manzil-e-dushwar se hans hans ke guzar ja
pagle kahin rone se shab-e-hijr Dhale hai

har rose naya rup badalti hai teri yaad
aahon mein Dhale hai kabhi ashkon mein Dhale hai

har shahr mein hone lagi angusht-numai
ruswai meri mujh se bhi kuchh aage chale hai

ek rose use TuT hi jaana tha bahar-haal
dil toD ke tu kyun kaf-e-afsos male hai