اردو हिंदी
Barson paDh kar sarkash rah kar zaKHmi ho kar samjha main | Shaahi Shayari
barson paDh kar sarkash rah kar zaKHmi ho kar samjha main

Ghazal

Barson paDh kar sarkash rah kar zaKHmi ho kar samjha main

Baqar Mehdi

;

barson paDh kar sarkash rah kar zaKHmi ho kar samjha main
har kucha hai kucha-e-qatil zaKHmi ho kar sambhla main

tufani jazbon se bach kar dur talak kaise jata?
ek jazira ban kar aaKHir lahron lahron Thahra main

kitne aadarshon ke shishe rag rag mein aazar bane
laDte laDte thak kar dekha saya tha aur tanha main

aaina kya kis ko dikhata gali gali hairat bikti thi
naqqaron ka shor tha har su sachche sab aur jhuTa main

'baqar' tez shuaon se sab momi chehre pighal gae
subh talak pathrile gham the aur tha TuTa-phuTa main