barson mein tujhe dekha to ehsas hua hai
har zaKHm teri yaad ka andar se hara hai
wo kaun tha kis samt gaya DhunDh raha hun
zanjir dar-e-dil koi khaTka ke gaya hai
ji chahe use waqt ke hathon se uDa le
jo ruh ki KHamosh guphaon mein mila hai
patthar ke sanam pujo ki miTTi ke KHudawand
har bab-e-karam der hui band paDa hai
puchho na mere ahd ke insan ki hikayat
tanhai ke sahraon mein hairan khaDa hai
Ghazal
Barson mein tujhe dekha to ehsas hua hai
Zubair Rizvi