barson ke rat-jagon ki thakan kha gai mujhe
suraj nikal raha tha ki nind aa gai mujhe
rakkhi na zindagi ne meri muflisi ki sharm
chadar bana ke rah mein phaila gai mujhe
main bik gaya tha baad mein be-sarfa jaan kar
duniya meri dukan pe lauTa gai mujhe
dariya pe ek tanz samajhiye ki tishnagi
sahil ki sard ret mein dafna gai mujhe
ai zindagi tamam lahu raegan hua
kis dasht-e-be-sawad mein barsa gai mujhe
kaghaz ka chand rakh diya duniya ne hath mein
pahle safar ki raat hi ras aa gai mujhe
kya chiz thi kisi ki ada-e-supurdagi
bhige badan ki aag mein nahla gai mujhe
'qaisar' qalam ki aag ka ehsanmand hun
jab ungliyan jalin to ghazal aa gai mujhe
Ghazal
Barson ke rat-jagon ki thakan kha gai mujhe
Qaisar-ul-Jafri