barson junun sahra sahra bhaTkata hai
ghar mein rahna yunhi nahin aa jata hai
pyas aur dhup ke aadi ho jate hain hum
jab tak dasht ka khel samajh mein aata hai
aadat thi so pukar liya tum ko warna
itne karb mein kaun kise yaad aata hai
maut bhi ek hal hai to masail ka lekin
dil ye suhulat lete hue ghabraata hai
ek tum hi to gawah ho mere hone ke
aaina to ab bhi mujhe jhuTlata hai
uf ye saza ye to koi insaf nahin
koi mujhe mujrim hi nahin Thahraata hai
kaise kaise gunah kiye hain KHwabon mein
kya ye bhi mere hi hisab mein aata hai
Ghazal
Barson junun sahra sahra bhaTkata hai
Shariq Kaifi