barson jo nazar tufanon ke aaghosh mein palti rahti hai
us mast nazar ki har jumbish afsane ugalti rahti hai
jo tark-e-talab se pahle tha dil ka wahi aalam aaj bhi hai
aaina nahin badla jata taswir badalti rahti hai
ji bhar ke use dekha lekin ab tak ye nazar bharti hi nahin
masum ada mein rah rah kar ek baat nikalti rahti hai
tu mere junun se nalan hai is par to nazar kar ai naseh
wo zulf KHud apne halqon ke andaz badalti rahti hai
mai-KHana 'faridi' kya jaane kis ko na mili kis ne pi li
saghar hain ki chalte rahte hain sahba hai ki Dhalti rahti hai
Ghazal
Barson jo nazar tufanon ke aaghosh mein palti rahti hai
Moghisuddin Fareedi