barson hue us se na koi baat hui raat
tu ne bhi na ki apni koi jadugari raat
gum ho gai ummid-e-mulaqat sahar mein
ye tu ne mere sath ajab chaal chali raat
wo le gaya sath apne ujale mere dil ke
kaTe na kaTi hum se jo thi dard-bhari raat
ashkon se kaha main ne judai ka fasana
is par ye kaha us ne ki aaegi nai raat
shikwe mere aur us ka batana ise ilzam
kuchh tai na hua aur yunhi bit gai raat
jo mere tasawwur mein tha hangama-e-mahshar
us ke liye maKHsus hui wasl ki hi raat
is mein hi to hai chand sitaron ka muqaddar
ek KHal-e-siyah-tab ki hai jalwagari raat
jis raat kabhi koi mere sath raha tha
aa jae 'suhail' aaj dua hai ki wahi raat
Ghazal
Barson hue us se na koi baat hui raat
Suhail Kakorvi