barson baad mila to us ne hum se puchha kaise ho
shahr-e-nigaran ke markaz the tanha tanha kaise ho
wo kuchh mere dard ko banTe main kuchh us ke gham le lun
aisa ho to kya achchha ho lekin aisa kaise ho
chehre par jo hariyali thi wo shahron mein zard hui
ganw ka mukhiya puchh raha hai mere bhayya kaise ho
uThti hui maujon ke niche kitna gahra pani hai
hum jaise kuchh log na Duben to andaza kaise ho
tez-o-tund hawa ke hathon kya bite ye baat alag
shaKHen jab tak sath na chhoDen patta pila kaise ho
Ghazal
Barson baad mila to usne humse puchha kaise ho
Waqar Fatmi