اردو हिंदी
Barshikal-e-girya-e-ashiq hai dekha chahiye | Shaahi Shayari
barshikal-e-girya-e-ashiq hai dekha chahiye

Ghazal

Barshikal-e-girya-e-ashiq hai dekha chahiye

Mirza Ghalib

;

barshikal-e-girya-e-ashiq hai dekha chahiye
khil gai manind-e-gul sau ja se diwar-e-chaman

ulfat-e-gul se ghalat hai dawa-e-warastagi
sarw hai ba-wasf-e-azadi giraftar-e-chaman

saf hai az bas-ki aks-e-gul se gulzar-e-chaman
jaanashin-e-jauhar-e-aina hai KHar-e-chaman

hai nazakat bas ki fasl-e-gul mein meamar-e-chaman
qalib-e-gul mein Dhali hai KHisht-e-diwar-e-chaman

teri aaraish ka istiqbaal karti hai bahaar
jauhar-e-aina hai yan naqsh-e-ehzar-e-chaman

bas ki pai yar ki rangin-adai se shikast
hai kulah-e-naz-e-gul bar taq-e-diwar-e-chaman

waqt hai gar bulbul-e-miskin zuleKHai kare
yusuf-e-gul jalwa-farma hai ba-bazar-e-chaman

wahshat-afza girya-ha mauquf-e-fasl-e-gul 'asad'
chashm-e-dariya-rez hai mizab-e-sarkar-e-chaman