barsat ka udhar hai dimagh aasman par
chhappar idhar nahin hai hamare makan par
masjid mein us ko dekh ke hairan rah gaya
tanqid kar raha tha jo kal tak azan par
kaghaz ke baal-o-par pe bharosa na kijiye
jaana agar hai aap ko unchi uDan par
ab tak ramaq hayat ki paida na ho saki
kya main lahu chhiDakta raha hun chaTan par
do chaar hath uD ke zamin par jo aa gae
tanqid kar rahe hain hamari uDan par
jehl-e-KHirad ne toD din sab bandishen 'shahud'
'nasiKH' ka ab ijara nahin hai zaban par
Ghazal
Barsat ka udhar hai dimagh aasman par
Shahood Alam Aafaqi