اردو हिंदी
Barq sar-e-shaKH-sar dekhiye kab tak rahe | Shaahi Shayari
barq sar-e-shaKH-sar dekhiye kab tak rahe

Ghazal

Barq sar-e-shaKH-sar dekhiye kab tak rahe

Wamiq Jaunpuri

;

barq sar-e-shaKH-sar dekhiye kab tak rahe
hum ko yaqin-e-bahaar dekhiye kab tak rahe

daman-e-gulchin mein phul bulbul-e-shaida malul
ruh-e-chaman sogwar dekhiye kab tak rahe

kitne nae qafile manzilon se ja mile
baKHt mein apne ghubar dekhiye kab tak rahe

dekhiye kab rah par Thik se uTThen qadam
raat ki mai ka KHumar dekhiye kab tak rahe

mehnat-e-be-dam par nazm-e-kuhan barqarar
nazm-e-kuhan barqarar dekhiye kab tak rahe

ahl-e-junun KHub hain waqif-e-ain-e-shauq
dil pe magar iKHtiyar dekhiye kab tak rahe

dekhiye kab tak nazar bazm mein bhaTka kare
hasrat-e-didar-e-yar dekhiye kab tak rahe

raat bhi murjha chali chand bhi kumhla gaya
phir bhi tera intizar dekhiye kab tak rahe

kashmakash-e-nang-o-nam dahr mein jina haram
nam ki ye jit haar dekhiye kab tak rahe

dekhiye kab tak zamin zarron ki dhamki sahe
zist ke ruKH par ghubar dekhiye kab tak rahe

barsar-e-'wamiq' hazar gardish-e-lail-o-nahaar
gardish-e-lail-o-nahaar dekhiye kab tak rahe