اردو हिंदी
Barq mera aashiyan kab ka jala kar le gai | Shaahi Shayari
barq mera aashiyan kab ka jala kar le gai

Ghazal

Barq mera aashiyan kab ka jala kar le gai

Sheikh Ibrahim Zauq

;

barq mera aashiyan kab ka jala kar le gai
kuchh jo KHakistar bacha aandhi uDa kar le gai

us ke qadmon tak na betabi baDha kar le gai
hae do palTe diye aur phir haTa kar le gai

na-tawani hum ko hathon hath uTha kar le gai
chyunTi se chyunTi dana chhuDa kar le gai

subh-e-ruKH se kaun sham-e-zulf mein jata tha aah
ai dil-e-shamat-zada shamat laga kar le gai

KHun se farhad ke rangin hua daman-e-koh
kyun na mauj-e-shir ye dhabba chhuDa kar le gai

tum ne to chhoDa hi tha ai hamrahan-e-qafila
lekin aawaz-e-jaras hum ko jaga kar le gai

nok-e-mizhgan jab hui sina-fagaron se do-chaar
para-ha-e-dil se gul-dasta bana kar le gai

dekhi kuchh dil ki kashish laila ki naqe ko tere
su-e-majnun aaKHirash rasta bhula kar le gai

wah ai soz-e-darun kuche mein us ke barq-e-ah
raat hum ko har qadam mishal dikha kar le gai

wo gae ghar ghair ke aur yan hamein dam bhar ke baad
bad-gumani un ke ghar su ghar phira kar le gai

jo shahid-e-naz kuche mein tumhaare tha paDa
kya kahun taqdir use kyunkar uTha kar le gai

dasht-e-wahshat mein bagula tha ki diwana tera
ruh-e-majnun bahr-e-istiqbaal aa kar le gai

aag mein hai kaun gir paDta magar parwane ko
aatish-e-soz-e-mohabbat thi jala kar le gai

ai pari pahlu se mere kya kahun teri nigah
dil uDa kar le gai ya par laga kar le gai

'zauq' mar jaane ka to apne koi mauqa na tha
ku-e-jaanan mein ajal nahaq laga kar le gai