barq ko us par abas girne ki hain tayyariyan
barg-e-gul hi aashiyan ko apne hai chingariyan
ahd-e-tifli mein bhi tha main bas-ki saudai-mizaj
beDiyan minnat ki bhi pahnin to main ne bhaariyan
maut ke aate hi hum ko KHud-baKHud nind aa gai
kya usi ki yaad mein karte the shab-bedariyan
ai KHat us ke gore galon par ye tu ne kya kiya
chandni raaten yakayak ho gain andhyariyan
KHanda-e-gul se sada-e-nala aati hai mujhe
KHun-e-bulbul se magar sinchi gai hain kyariyan
KHak ka putla bhi aahan se hai saKHti mein fuzun
jism par insan ke talwaren hui hain aariyan
KHauf-e-KHaliq hai wagarna mohtasib kya mal hai
KHan-e-qazi mein ja kar kijiye mai-KHwariyan
kuchh hamin KHali nahin karte hain ye dair-e-KHarab
phir gae hain yar yunhi apni apni bariyan
hukm kar 'atish' ki bazar-e-mohabbat band ho
ab karen TaTpujiye garm apni dukan-dariyan
Ghazal
Barq ko us par abas girne ki hain tayyariyan
Haidar Ali Aatish