barq ka Thik agar nishana ho
band kahe ko karKHana ho
dekhne sunne ka maza jab hai
kuchh haqiqat ho kuchh fasana ho
maut har waqt aana chahti hai
koi hila koi bahana ho
rah se sang-o-KHisht haT jaen
nekiyon ka agar zamana ho
mujh ko KHwab-o-KHayal hai manzil
qafila shauq se rawana ho
kya tajjub ki pichhe pichhe mere
aane wala mera zamana ho
Ghazal
Barq ka Thik agar nishana ho
Ghulam Murtaza Rahi