barpa hain ajab shorishen jazbaat ke pichhe
be-tab hai dil shauq-e-mulaqat ke pichhe
jin ko na samajh pae hum arbab-e-nazar bhi
sau raaz hain us shoKH ki har baat ke pichhe
is Thos haqiqat se tarruz nahin mumkin
ek subh-e-tajalli hai har ek raat ke pichhe
arbab-e-watan hum ko zara ye to bataen
kin zehnon ki sazish hai fasadat ke pichhe
manzar hai lahu-rang sulagti hain fazaen
shoalon ka wo sailab hai barsat ke pichhe
hum un ko samajhte hain 'hazin' kah nahin sakte
asbab jo hain talKHi-e-haalat ke pichhe
Ghazal
Barpa hain ajab shorishen jazbaat ke pichhe
Junaid Hazin Lari