اردو हिंदी
Barhaman but-kade ke shaiKH baitullah ke sadqe | Shaahi Shayari
barhaman but-kade ke shaiKH baitullah ke sadqe

Ghazal

Barhaman but-kade ke shaiKH baitullah ke sadqe

Sauda Mohammad Rafi

;

barhaman but-kade ke shaiKH baitullah ke sadqe
kahen hain jis ko 'sauda' wo dil-e-agah ke sadqe

jata den jis jagah hum qadr apni na-tawani ki
agar kohsar wan howe to jawe kah ke sadqe

na de taklif jalne ki kisu ke dil ko mere par
asar se dur rahti hain main apni aah ke sadqe

ajaib shaghl mein the raat tum ai shaiKH rahmat hai
main us rish-e-buland aur daman-e-kotah ke sadqe

nahin be-wajh kuche se tere uThna bagule ka
hamari KHak bhi jati hai teri rah ke sadqe

kabhu wo shab bhi ai parwana haq baham dikhawega
tu bal bal shama par jawe main hun us mah ke sadqe

dikhati hai tujhe kis kis tarah 'sauda' ki nazron mein
jo ho insaf to jawe tu us ki chah ke sadqe