barham-zan-e-shiraaza-e-ayyam hamin hain
ai dard-e-mohabbat tera anjam hamin hain
is qafila-e-shauq mein ye wahm hai sab ko
aawara-o-sar-gashta-o-nakaam hamin hain
honge kai gardan-zadani aur bhi lekin
is shahr-e-nigaran mein to badnam hamin hain
hum dhup mein tapte to panap jate magar ab
daryuza-gar-e-mehr-e-lab-e-baam hamin hain
kya aan thi nakaami-e-tadbir se pahle
ab laeq-e-fahmaish-e-dushnam hamin hain
haq naqd-e-masarrat ka agar hai to hamin ko
kuchh nabz-shanas-e-gham-o-alam hamin hain
jis tak koi koi abhi pahuncha hi nahin hai
wo mashal-e-be-nur sar-e-sham hamin hain
inkar hi sar-chashma-e-iman-o-yaqin hai
ab roz-e-jaza laeq-e-inam hamin hain
kaliyon se dam-e-subh jo 'zaidi' ne suna tha
fitrat ka wo na-gufta sa paigham hamin hain
Ghazal
Barham-zan-e-shiraaza-e-ayyam hamin hain
Ali Jawwad Zaidi