barguzida hain hawaon ke asar se hum bhi
dekhte hain tujhe duniya ki nazar se hum bhi
apne raste mein baDe log the raftar-shikan
aur kuchh der mein nikle zara ghar se hum bhi
raat us ne bhi kisi lamhe ko mahsus kiya
lauT aae kisi be-waqt safar se hum bhi
sab ko hairat-zada karti hai yahan be-KHabari
chaunk paDte the yun hi pahle KHabar se hum bhi
zard chehre ko baDe shauq se sab dekhte hain
TuTne wale hain sarsabz shajar se hum bhi
kaun sa ghair KHuda jaane yahan hai aisa
burqa oDhe hue aae the idhar se hum bhi
Ghazal
Barguzida hain hawaon ke asar se hum bhi
Zaheer Rahmati