اردو हिंदी
Bargashta-talai ka tamasha dikhaun main | Shaahi Shayari
bargashta-talai ka tamasha dikhaun main

Ghazal

Bargashta-talai ka tamasha dikhaun main

Haidar Ali Aatish

;

bargashta-talai ka tamasha dikhaun main
ghar ko lage jo aag to pani bujhaun main

jins-e-giran-baha ka KHaridar kaun hai
yakta nahin ilahi jo chori hi jaun main

lala-ruKHon ke husn ka bhuka hun is qadar
dil ho na sair lakh agar dagh khaun main

aankhen meri kare jo munawwar jamal-e-yar
ghee ke charagh tur ke upar jalaun main

murde ki tarah sote hain kaise mere nasib
Thokar se pa-e-yar ke un ko jagaun main

bosa mile kaman ka jo abru-e-yar ki
mehrab-e-bait-e-kaba mein chilla chaDhaun main

ji chahta hai shauq-e-shahadat mein qabl-e-marg
banwa ke qabr-e-lala ko us par lagaun main

ghar mein jo mujh faqir ke wo shah-e-husn aae
mizhgan ke boriye jo khaDe hain bichhaun main

kanTa sukha ke hijr ne har-chand kar diya
wo gul-badan mile to na phula samaun main

tum to gharib-KHane mein aae na ek roz
farmaiye to shab ko kisi waqt aaun main

barik-bin hun shaer-e-nazuk-KHayal hun
mazmun jahan kamar ka mile bandh laun main

'atish' ghulam-e-saqi-e-kausar hun chahiye
firdaus ka khula hua darwaza paun main