اردو हिंदी
Barg Thahre na jab samar Thahre | Shaahi Shayari
barg Thahre na jab samar Thahre

Ghazal

Barg Thahre na jab samar Thahre

Iqbal Asif

;

barg Thahre na jab samar Thahre
aise mausam pe kya nazar Thahre

ahd-e-kam-maya ki nigahon mein
kaghzi phul mo'atabar Thahre

jin ko dawa tha be-karani ka
wo samundar bhi bund-bar Thahre

wo gaya bhi to us ki yaadon ke
kitne mehman mere ghar Thahre

koi apne liye bhi Thahrega
hum kisi ke liye agar Thahre

hum khare the damak uThe warna
kis mein himmat ki aag par Thahre

maut hai justuju musafir ki
ek lamha jo be-KHabar Thahre

puchh un se hai saKHt-jaani kya
aandhiyon mein bhi jo shajar Thahre

KHush ho duniya ki hum teri KHatir
bazm-e-yaran mein be-hunar Thahre

jin se 'asif' hamein tawaqqoa thi
rabte wo bhi muKHtasar Thahre