barg-e-sada ko lab se uDe der ho gai
hum ko bhi ab to KHak hue der ho gai
ab sahilon pe kis ko sada de rahe ho tum
lamhon ke baadban khule der ho gai
ai husn-e-KHud-parast zara soch to sahi
mehr-o-wafa se tujh ko mile der ho gai
tera visal KHair ab ek waqia hua
ab apne-ap se bhi mile der ho gai
sadiyon ki ret Dhanp kar aasuda ho gae
sar ko hamare tan se kaTe der ho gai
sarsar ho ya saba ho ki hon tez aandhiyan
hum ko fasil-e-shab pe jale der ho gai
teri gali ke moD pe pahunche the jald hum
par tere ghar ko aate hue der ho gai
ek daur tha 'shanas' sada thi meri buland
aur ab to mere honT sile der ho gai
Ghazal
Barg-e-sada ko lab se uDe der ho gai
Faheem Shanas Kazmi