barf-zar-e-jaan ki tah mein kholte pani ka hai
jo bhi qissa hai lahu ki shoala-samani ka hai
aasman se raushni utri bhi dhundla bhi chuki
nam raushan hai to bas zulmat ki tabani ka hai
regzar-e-lab ki har su ug rahi hai tishnagi
aankh mein manzar uchhalte-kudte pani ka hai
be-sabab hargiz nahin dast-e-karam kam kam idhar
us ko andaza hamari tang-damani ka hai
shahr ho ya ho bayaban ghar ho ya koi khanDar
silsila chaaron taraf ghul-e-bayabani ka hai
moD par pahunche to dekhoge ki har manzil hai sahl
bas yahi ek rasta hai jo pareshani ka hai
Ghazal
Barf-zar-e-jaan ki tah mein kholte pani ka hai
Nasr Ghazali