barf se laDta tha mere pas pani kyun nahin
ab sawal uThta hai dariya mein rawani kyun nahin
dastan paDh kar meri aKHbar mein rota hai wo
aa ke sunta dukh mera meri zabani kyun nahin
main tera be-KHwab bachcha man bata mere liye
koi lori kyun nahin koi kahani kyun nahin
Dubna chahunga to KHushki mein ho jaunga gharq
main na puchhunga kabhi dariya mein pani kyun nahin
mera qad uncha hai lekin ba-hunar wo bhi to hain
shahr ke bolon pe teri mehrbani kyun nahin
pas us ke paisa bangle gaDiyan shohrat bhi hai
'ashk' ji wo shaKHs phir bhi KHandani kyun nahin
Ghazal
Barf se laDta tha mere pas pani kyun nahin
Parveen Kumar Ashk