barf ke phul khile dhup ke dane nikle
ab ke mausam mein sabhi KHwab suhane nikle
phir meri yaad tujhe chain na lene degi
phir teri bazm mein mere hi fasane nikle
do qadam baDhte hi KHud apna pata kho baiThe
jab bhi hum tujh ko teri yaad dilane nikle
un ko har moD pe KHushiyon ke dafine hi mile
mere hisse mein faqat gham ke KHazane nikle
mera jalta hua ghar dekh ke ham-sae mere
ghar se nikle to magar ashk bahane nikle
zindagi tu ne hamein aur bhi maqruz kiya
jab bhi hum log tera qarz chukane nikle
Ghazal
Barf ke phul khile dhup ke dane nikle
Naz Quadri