اردو हिंदी
Barae-zeb usko gauhar-o-aKHtar nahin lagta | Shaahi Shayari
barae-zeb usko gauhar-o-aKHtar nahin lagta

Ghazal

Barae-zeb usko gauhar-o-aKHtar nahin lagta

Ahmad Kamal Parwazi

;

barae-zeb us ko gauhar-o-aKHtar nahin lagta
wo KHud ek chand hai aur chand ko zewar nahin lagta

KHudaya yun bhi ho ki us ke hathon qatl ho jaun
wahi ek aisa qatil hai jo pesha-war nahin lagta

agar aariz-parasti ka amal ek jurm banta hai
saza bhi kaT lenge kaTne se Dar nahin lagta

mohabbat tir hai aur tir baatin chhed deta hai
magar niyyat ghalat ho to nishane par nahin lagta

rais-e-shahr ho kar bhi wo itna jhuk ke milta hai
ki us ke samne koi bhi qad-awar nahin lagta