barae-nam sahi koi mehrban to hai
hamare sar pe bhi hone ko aasman to hai
teri faraKH-dili ko duaen deta hun
mere labon pe tere lams ka nishan to hai
ye aur baat ki wo ab yahan nahin rahta
magar ye us ka basaya hua makan to hai
siron pe saya-fagan abr-e-arzu na sahi
hamare pas sarabon ka saeban to hai
alawa us ke na kuchh aur parda rakh mujh se
fasil-e-jism mere tere darmiyan to hai
bichhaD ke zinda nahin rah sakenge hum donon
mujhe ye wahm to hai un ko ye guman to hai
bhali-buri sahi maujon mein apni naw to hai
kaTa-phaTa sahi kahne ko baadban to hai
gul-e-murad nahin sang-ha-e-tifl sahi
gharib-e-shahr ka aaKHir kisi ko dhyan to hai
Ghazal
Barae-nam sahi koi mehrban to hai
Aqeel Shadab