اردو हिंदी
Barae nam sahi din ke hath pile hain | Shaahi Shayari
barae nam sahi din ke hath pile hain

Ghazal

Barae nam sahi din ke hath pile hain

Sultan Akhtar

;

barae nam sahi din ke hath pile hain
kahin kahin pe abhi raushni ke Tile hain

tamam raat mere gham ka zahr chusa hai
isi liye teri yaadon ke honT nile hain

hamare zabt ki diwar aahani na sahi
tumhaare tanz ke neze kahan nukile hain

unhen bhi aaj ki tahzib chaT jaegi
kahin kahin pe jo simTe hue qabile hain

badan ka loch labon ki miThas qurb ka lams
tasawwuraat ke sab zaiqe rasile hain

KHulus-e-dil se samaat ka imtihan to lo
gham-e-hayat ke naghme baDe surile hain