barabar KHwab se chehron ki hijrat dekhte rahna
guzar chukne pe bhi wo sham-e-rahlat dekhte rahna
dhanak ki barishen barfab shahron par nahin hotin
yahan phulon ka rasta umr bhar mat dekhte rahna
kitabon ki tahon mein DhunDhna na-dida ashya ka
palaT kar phir koi KHali ibarat dekhte rahna
hujum-e-shahr ke sannaTe mein gum-sum wo Tila sa
usi ko aate jate be-zarurat dekhte rahna
jise main chhu nahin sakta dikhai kyun wo deta hai
farishton jaisi bas meri ibaadat dekhte rahna
'musawwir' kuchh na kahne ka ye dukh bhi saKHt zalim hai
talab kar legi lafzon ki adalat dekhte rahna
Ghazal
Barabar KHwab se chehron ki hijrat dekhte rahna
Musavvir Sabzwari