baqa sadaf ki guhar ke siwa kuchh aur nahin
wafa shuur-e-bashar ke siwa kuchh aur nahin
ghalat ghalat ki mohabbat fareb-e-hasti hai
ye rabt-e-KHas asar ke siwa kuchh aur nahin
shua-e-mehr-e-munawwar main mah-e-taban main
kisi ki pahli nazar ke siwa kuchh aur nahin
abhi junun ko guzarna hai shah-rahon se
junun ki had tere dar ke siwa kuchh aur nahin
wo sham-e-gham jo teri zindagi ka hasil hai
wo sham nur-e-sahar ke siwa kuchh aur nahin
yahi nizam-e-jahan hai yahi hai raaz-e-baqa
samar hayat-e-shajar ke siwa kuchh aur nahin
tujhe KHirad se hai nisbat hamein 'aziz' junun
ba-qadr-e-zarf nazar ke siwa kuchh aur nahin
Ghazal
Baqa sadaf ki guhar ke siwa kuchh aur nahin
Aziz Badayuni