bante rahe hain dil mein ajab gard-baad se
rangon ko aazma na sake e'timad se
ye aur baat aable honTon pe paD gae
dahliz chum li hai magar e'tiqad se
barson ki be-zaban thakawaT lipaT gai
jab shahr-e-dil mein lauT ke aae jihad se
sarson ki chandni se barahna daraKHt tak
har shai ki dilkashi nikhar aai tazad se
kuchh KHush-dahan rafiq kahin bich bich mein
mera bhi zikr karte rahe hain inad se
phir aaj ek shakl tarashi hai soch ki
dil ki gupha mein harf ke kachche mawad se
'sajjad' koi hila ki lau de uThe ye dil
dam ghuT raha hai KHun ke is injimad se
Ghazal
Bante rahe hain dil mein ajab gard-baad se
Sajjad Babar