bante bante apne pech-o-KHam bane
tu bana phir main bana phir hum bane
ek aansu tha gira aur chal paDa
ek aalam tha so do aalam bane
ek qadam uTTha kahin pahla qadam
KHak uDi aur apne sare gham bane
apni aawazon ko chup rah kar suna
tab kahin ja kar ye zer-o-bam bane
aankh banne mein bahut din lag gae
dekhiye kab aankh andar nam bane
zaKHm ko be-rah-rawi mein rah mili
KHun ke chhinTe uDe aalam bane
hum kahan the us samay us waqt jab
tere andar ke ye sab mausam bane
Ghazal
Bante bante apne pech-o-KHam bane
Shaheen Abbas