bank ki jalwa-gari par ghash hun
yani us sabz pari par ghash hun
garche duniya ke hunar hain lekin
apne main be-hunari par ghash hun
barq ki tarah na taDpun kyunkar
teri poshak-e-zari par ghash hun
us ki pishwaz ki se lai bas
us ki main god-bhari par ghash hun
ghash nasim-e-sahari hai mujh par
main nasim-e-sahari par ghash hun
use kuchh ho na saka 'insha' main
aah ki be-asari par ghash hun
Ghazal
Bank ki jalwa-gari par ghash hun
Insha Allah Khan u0027Inshau0027