bani thi dil pe kuchh aisi ki iztirab na tha
ghashi ko aap ne samjha tha KHwab KHwab na tha
ye husn-e-zan hai ki 'beKHud' kabhi KHarab na tha
kasar thi itni ki aaluda-e-sharab na tha
hamari aankh se tum dekhte to khul jata
ki aaine mein bhi is shakl ka jawab na tha
hazaron is dil-e-be-arzu ne Dhae sitam
bhale ko aur mere sath kuchh azab na tha
mujhe ye rashk ki dushman ka zikr kyun aae
unhen ye naz meri baat ka jawab na tha
ye but samajhte the 'beKHud' ko bar-e-KHatir kyun
kisi ke dil mein to wo KHanuman-KHarab na tha
Ghazal
Bani thi dil pe kuchh aisi ki iztirab na tha
Bekhud Dehlvi