bane ye zahr hi wajh-e-shifa jo tu chahe
KHarid lun main ye naqli dawa jo tu chahe
ye zard pankhDiyan jin par ki harf harf hun main
hawa-e-sham mein mahken zara jo tu chahe
tujhe to ilm hai kyun main ne is tarah chaha
jo tu ne yun nahin chaha to kya jo tu chahe
jab ek sans ghuse sath ek note pise
nizam-e-zar ki hasin aasiya jo tu chahe
bas ek teri hi shikam-ser ruh hai aazad
ab ai asir-e-kamand-e-hawa jo tu chahe
zara shikoh-e-do-alam ke gumbadon mein laraz
phir us ke baad tera faisla jo tu chahe
salam un pe tah-e-tegh bhi jinhon ne kaha
jo tera hukm jo teri raza jo tu chahe
jo tere bagh mein mazduriyan karen 'amjad'
khilen wo phul bhi ek martaba jo tu chahe
Ghazal
Bane ye zahr hi wajh-e-shifa jo tu chahe
Majeed Amjad