اردو हिंदी
Bane hue hain fasil-e-nazar dar-o-diwar | Shaahi Shayari
bane hue hain fasil-e-nazar dar-o-diwar

Ghazal

Bane hue hain fasil-e-nazar dar-o-diwar

Muzaffar Hanfi

;

bane hue hain fasil-e-nazar dar-o-diwar
har ek taraf dar-o-diwar par dar-o-diwar

mujhe bhi dar-ba-dari mein hi lutf aata hai
meri bala se faraham na kar dar-o-diwar

hamare ghar mein to minar ban gai har inT
chhaton ki had mein uThate hain sar dar-o-diwar

ghaTa ka kya hai baras kar nikal gai aage
yahan sisakte rahe raat bhar dar-o-diwar

hamare raaz mein shamil rahe paDosi bhi
isi liye to hain diwar-o-dar dar-o-diwar

KHabar na phailne pae ki ja raha hai koi
nahin to sar pe uTha lenge ghar dar-o-diwar

tera badan to salamat hai ai 'muzaffar' phir
ye kis ke KHun se hain tar-ba-tar dar-o-diwar